Pages

Meri Pehli Mulakaat .....

khayalo mei duba tha mai , ki teri yaad aa gai , 
wo pehli mulakaat fir se jehan mei ubhar aayi ....
dur se hi teri jhalak jo dekha -
tu komal , tu sundar , yauvan bemishal !!
navj thande par gaye, saanse tham si gayi
teri har aahat ke sath meri dhadkan badhti rahi .....
par teri ek sehaj muskan ne jaadu kiya , 
fir maine apni sehjadi ka swagat kiya ,
thoda muskuraya or tasrif dilayi ... :-)
teri khubsurti ka kya byan karu -
wo sunehra badan , gardan ke niche lehrati julfe, hirni si aankhe ;
or wo sinduri hoth chhu gayi dil ko ...:-)
mai mugdh hua ....
teri bhini si khusbu ka nasha sa ho gaya ,
mann machal utha , madhoshi si chha gayi..
tujhe chhune ko , thamne ko,
tera lafjo ko chumne ko dil bekarar ho gaya, jb tum aayi mere liye....
ithlate huye , muskurate huye ... :-)
jb maine tera hath thaama ,
teri narmi , tere chehre ki lali bha  gayi  dil ko ....:-)
tera najre ferna , be baat muskurana , tera sharmana ,
mujhe aaj bhi yaad hai ........:-)
khuda kasam !
haya na hoti to baho mei bhar leta ,
dil ki tarango ko kuch or uffan deta .. :-)
waqt gujarta raha , mulakaat khatm hone ko aayi ,
par ab tak na tune kuch kaha tha , na maine kuch kaha tha.
hosh to tb aaya jb tu sine se lipt gayi - PEHLI BAR
ha , wo kasak mujhe aaj bhi yaad hai  :-)
pehli bar tu mere itne kaarib thi , 
bs dur jane ko , alvida kehne ko ..:-(
tere kadmo ki aahat dur jati rahi, 
mai wahi khada , tujhe niharta raha, 
tera wo palat kar muskurana , 
mujhe aaj bhi yaad hai .... :'(